Bhagwan ka doosra roop hai Ma
Unke liye de denge jaan
Humko milta jeevan unse
Kadmon mein hai swarg basa
Sanskaar veh hamen sikhlaati
Achcha bura hamen batlati
Hamari galtiyan ko sudhaarti
Pyaar veh hum par barsaati
Tabeeyat agar ho jaye kharaab
Raat-raat bhar jaagte rehna
Ma bin jeevan hai adhura
Khaal-khaali soona-soona
Khaana pehle hamen khilati
Baad mein veh khud hai khaati
Hamari khushi mein khush ho jaati
Dukh mein hamare, aansu bahati
Kitne khushnaseeb hain hum
Paas hamare hai Ma
Hote badnaseeb ve kitne
Jinke pass na hoti Ma.
- (Unknown)
_____________________________________________
Chulhe ki
Jalti roti si
Tez aanch mein jalti Ma!
Bheetar-bheetar
Balke phir bhi
Baahar nahin ubalti Ma!
Dhaage-dhaage
Yaadein bunti
Khud ko
Nai rui sa ghunti
Din bhar
Tani taant si bajti
Ghar-aangan mein chalti Ma!
Sir par
Rakhe hue poora ghar
Apni
Bhookh-pyaas se oopar
Ghar ko
Naya janm dene mein
Dheere-dheere galti Ma!
Phati-purani
Maili dhoti
Saans-saans mein
Khushboo boti
Dhoop-chaanh mein
Bani ek si
Chehra nahin badalti Ma!
-Kaushlendra
__________________________
Ma! kuchh din tu aur na jaati
Main hi nahin bahu bhi kehti
Kehte saare pote nati
Ma! kuchh din tu aur na jaati
Roz sabere mujhe jagana
Baith palang par bhajan sunana
Ram Krishna ke anupam kisse
Teri dincharya ke hisse
Pooja ke tu kamal banati
Ma! kuchh din tu aur na jaati
Haridwar tujhko le jaata
Ganga ji mein snaan karata
Ma Kela ki jot karata
Dheere-dheere paanv dabata
Tu jab bhi thak kar so jaati
Ma! kuchh din tu aur na jaati
Kamre ka vo soona kona
Chalna phirna khaana sona
Roz subah Thakur nahlana
Bachchon ko tujhko tehlana
Jisko tu deti thi roti
Gaiya aakar roz rambhaati
Ma! kuchh din tu aur na jaati
Subah der tak sota rehta
Ghut-ta man mein rota rehta
Bachche teri baatein karte
Tab aanknon mein aansu jharte
Ma ab tu kyon na sahlaati
Ma! kuchh din tu aur na jaati
Ab jab se tu chali gayee hai
Murjha man ki kali gayi hai
Thi mamatva ki sundar moorat
Teri vo bholi-si soorat
Dridh nishchay aur vajr iraade
Man gulaab ki komal paati
Ma! kuchh din tu aur na jaati.
R.C. Sharma (Aarcee)
_________________________________
Happy Mother's Day
Read More...